Ye hawaein pattiyo ko choom kr jo aati hai
Ek anjaani si khushbu paas laati hai…
Khushbu jo bilkul anjaani hai
Par fir kyun jaani pehchani hai…
Muddato ko channd lamho main sammet de, aisi in jhonkon ki rawani hain
In khushbuon ka aks kahi toh rehta hoga, uska pata kissi ko toh hoga…
Shayad paas ya kahin duur, dil uska bhi ye sochta hoga
Saamne kabhi tu pade aur mera dil dhadkata hoga…
Jaane tu kab saamne aayegi
Ya ye hawayein yuhi mujhe zindagi bhar satayengi
Fiza k khulne par shayad tu nazar aa jaye mujhe….
Ya yoon qurbat mai hi meri saansein tham jayengi