Aksar dil mera mujhse sawal poochta hai
Mutmayeen hone ko tu kya dhoondta hai
Peshaani par ye silwatein yuhi ubhar aati hai
Ya khaanabadosh zindagi ka tu asraar dhoondta hai
Aasaan nahi chalna yahan sard raahon par zindagi ki
Be-takalluf ye dil mera har baar bolta hai
Kuch khwaahisho ka aasma hum saath le chale hai
Umeedo se bhara saara jahaa bolta hai
Aksar dil mera mujhse sawal poochta hai
Mutmayeen hone ko tu kya dhoondta hai
Dil ki khamoshiya aankho mai bhar aati hai
Ya kuch adhure gumshuda jazbaat dhoondta hai
Aasaan nahi yahan rasmo – riwayat mohabbat ki
Guzarta har lamba baar baar bolta hai
Kuch kafir hasratein hoton par ja baithi hai
Umeedo se bhara saara jahaa bolta hai
Aksar dil mera mujhse sawal poochta hai
Mutmayeen hone ko tu kya dhoondta hai
Tanhai se joojhti majbooriya jo kaii hai
Yaadon mai simti muskurahat dhoondta hai
Dhund ko odhkar jo vadiya jhaankti hai
Unhi saaye mai naya basera dhoondta hai
Fakat ab zindagi ek juda tishnagi hai
Umeedo se bhara saara jahaa bolta hai